Friday, February 22, 2013

Tera Ho Jayega


Jis waqt se mera waqt mera ho jayega
Us waqt se wo waqt tera ho jayega…

Jo lamhe kat rahe hai gairo ki hi khatir
Har us lamhe par haq sirf tera ho jayega…

Kahi lagti h ek kami si tere seene me
Tere dil ke panno pe har shabd mera ho jayega…

Tukdo me jee rahe hai pyar k ye pal jo maan
Har pal me pyar ka fir basera ho jayega

Ye jism, Ye rooh, Ye saanse sambhal rakhe h maine
Sab kuch us waqt se tera bas tera ho jayega…!!!

Bin Saat fere Liye


Likh raha hu fir ek ghazal tere liye
Aane wale sare haseen pal tere liye
Waise ab tak bhi nakami na chhu saki mujhko
Par ab koshish h ban jau safal tere liye…

Har rasm aur riwaz har shaksh se pare
Subah sham rehte h tere ehsas ghere huye
Saat janmo ka rishta bandha hai tumse humdum
Ye baat aur h ki bin saat fere liye

Na pooch mujhe kitni meri chahat me shiddat h
Ye dekh tu bhi kitni bechain hai mere liye
Aa haseen todkar har ek chhalti deewar
Bahe failaye khada h kab se ye “Maan” tere liye…!!!

Sunday, April 22, 2012

Reet

इतनी ग़ज़ल  इतने गीत
तुझसे  प्यार  मेरी  जीत
तेरा  साथ  तेरी  प्रीत
काश!  इतनी  ही होती  दुनिया की रीत...!!!


 

तू ही नाम तू ही मान

तुझसे रोशन सुबह-ओ-शाम

तू ही चाँद तू ही दीप

तू ही मोती तू ही सीप...!!!


its still incomplete....... need suggestions........