Thursday, February 28, 2013

Wo Aasra Kaha Gaya

Wo Aasra kaha gya
Teri Dua kaha gayi

Bta mujhe tu yar
Wo Teri Ada kaha gayi

Gunah ke hisab jo badhte hi ja rhe yaha,
Bata teri Kitab me likhi saza kaha gayi

Wo shaakh-O-phool hai nahi,
Na chand na h chandni
Zameen-o-Aasman me
Teri sada kaha gayi

Likhi hui h "MAAN" ghamo ki kahaniya
Khushi ki jo misal thi o dilruba kaha gyi

Ajib h ye zindagi, ajib Dasta
Ye gardisho ki dhoop bhi mere siwa kaha gayi

Kareeb h, Naseeb h, pta nhi chala mujhe
Maaf kr ae zindgi, Tu Nazar mila kaha gayi...!!!

No comments:

Post a Comment